Sunday 31 March 2013

tum

Dard hota h jab,
Sas rukti h khuli hawa me bhi,
Bechain aakhe tumhe,
talashti jab jhuk jati hai,
or lagta h tum kahi kho gaye ho.
Or fir kahise aake mujhe tum,
Apni panaho me samet lete ho...

Mere dil ki udasi
M dikhati to nhi
Hasti hui aakho se
Tum jane kse
Sab samjh lete ho...


2. Rat intejar me nhi kisi sahar ke,
Or tare dundhle se ho gaye h...
Foolo se mne rang mange the thode,
Berang se gulshan dekho ro chuke h.

3.Tum nhi ho mere
Na m tumhari hu..
Subah tak mit jaye
Bas ek rat ki khumari hu...

4. tha yakin ek roj aayega magar,
vo vo musafir tha,
jiski m manjil na thi....

chirag jalte bhi to kb tk,
meri rato ka koi,
mahtab na tha.
jawab deta to kya deta,
meri nigaho me,
koi sawal na tha.
umar bhar shikwa,
rahega yahi,
vo mile asi kyu,
meri kismat na thi...
vo vo musafir tha jiski m manjil na thi...♥

5.sard hawao se,
bhigi ye rat,
phoolo ki mahak se,
mahaki hu m.
tu kaha h
jara aawaj to de,
tere intjar me,
vahi thahari hu m.

Sunday 3 March 2013

ankahi si bate

1. Suno dil ki dhadkane,
Khamoshiya ye khamkha nhi..
tumhare aane me kuch to khas h,
hota kuch bhi khamkha nhi.

2.sike labo ko sath h mere,
ankahe sare jajbat h tere,
dur hota to chain hota,
pas hoke kya pas h mere.

3.meri aakho ke samandar me,
hardam ek tufan sa rahta h,
sahil milta bhi h to,
bas do pal thaharta h.

4.so ja re akhiya,
kyu nihare unka rasta,
nindiya na aai,
na hi aaye mere sajna,
sadiyo si biti,
chand ghadiyo ki ratiya.

5.tu muskura jara,
sari kayanat dedu m,
or teri hasi pe to,
jan bhi de du.

7.safar tye kiya bin manjil
bin fikare anjam.
dil or dil ke sare jajbat
tujhpe Sab kr diya kurban
saso pe likha tera nam,
ase hi kati umr tamam.

8.tumhari hi aahate h shayad
dil ne suna to h kuch
bas intjar h.
or shayad dil ki chah bhi,
ki tum pukar lo...

9. Or parchaiya adhuri sab
puri hone chali h..
rat sinduri hone chali h...
phool kuch jayada mahke huye h...
mahandi kuch jayada jalne lagi h..
Sawera bechain sa aaya der se h...
nind bhi dekho kbse udne lagi h..
Na jane ksi bahki si ye hawa chali h.

Muskurane lagi h sham,
Rate gungunati h,
Aakhe bhi meri sunti nhi h.
Koi nai dulhan ke khatir
sapno ki barate saji h...
Na jane kaisi ye kushi h...
Lagta sab bewaj h
aasma thama h vahi pe.
jami chaline lagi h.
Sakhiya bhi sab mujhpe
hasne lagi h...
Na jane kaisi bahki si ye hawa chali h.

rat aai hai...

Aadhuri koi bat yad aai h,
Aaj itne dino ke bad rat aai h.

M to bhula tha payar ke
fsane kab ka;
Yad aaya jo aaj vo mera kal tha;
Sadiya sa kata,jo chota sa safar tha;
Aaj fir laga ki dil me jan aai h;
Itne dino ke bad rat aai hai...

M tujhse rusva hua kab tha;
Pas tere tha tujhse juda kab tha;
Dard is dil se kam hua kab tha;
Dastan a dil roj ashko me bahai h;
Itne dino ke bad rat aai hai...

Itne dino ke bad rat aai haii...

Saturday 2 March 2013

Mera tumhara chad...

Meri khidki se m chand dekhti hu.
Ab to roj hi.
Shayad kahi tum bhi.
Akele ise .
Dekhte ho...
Is chand se tumhare chand tak
Bada fasla h..
Jo pura hote hote..
Ek umar beet jaye..
Ya .
bas itna hi .
Shayad.
Ek din.
Or.
Ham dono sath me .
Is chand ko dekhe..
Or fir is chand ko
Dekhne ki fursat hi na ho...
Or jab ho..
To tumhari baho me.
Is chand ko dekhte huye..
Aakhe mund lu...
Koi dar na ho..
Koi dard na ho..
Bas tum or main..
Kafi h .
Ek jindagi ke liye ....:)