Wednesday 28 November 2012

SHOR

Kuch shor bhi,
shanti dete hai,
shant aavajo jitana hi,
or ham santulit mahsus karte hai,
kabhi to hasi b shor ban jati hai,
kabhi kisi red light pe,
traffic ki aavaj bhi,
kano ko sukun deti hai,
kabhi khidaki se,
niche sadak par,

bhagati hui texi,
car ka jagah banane ke liye horn,
or bchcho ka chillate huye khelna,

us orat ka padosi se ladana,
mali ka sabji ke liye aavaj lagana,
side me mobile ki taktak,
roomie ka rat bhar phon pe bat karna,
Vo sab,
kabhi sardard the,
dard nahi dete.
Par kabhi andhere me,
rat ki khamoshi me,
patte ka ped se
tut kar girna,
hava ka chalna,
nadi ki kalkal,
subah subah,
chidiya ki chahak,
ek taperecorder per,
vo purana gana,
dard ka ahsas karate h,
ya sharad akelepan ka,
kabhi kabhi,
bhid ka hissa hona,
kabhi kabhi shor me shamil hona,
acha lagta hai.
Khud ko busy rakhna,
acha lagta hai.
Tanhaiyo me shor ko milana
Acha lagta hai.