Saturday 13 October 2012

Khubsurat Duniya


Ulajhi yu kuch samajh na pai,
Surkh andhera dhund si chai,
Sanjh hui do pahar se pahle,
Pal gujare par sahar na aai...

Koyal ne fir geet sunaya,
Badal ne bhi shor machaya,
Ud ud ke aachal lahraya,
Chahre pe muskan na aai...

Banjare ki bansi baji,

Dil ne fir se li angadai,
Besudh si mai sochu ye hi,
Hai kasak nai ya yad purani...

Sahil pe tu aake mil ja,

Lahro lahro chal sang me aa,
Anjani si rah chune mil,
Likh de koi nai kahani..

Sannato ko dhun nai suna de,

Andhiyaro me aa deep jala de,
Aa rato me juganu pakade,
Pakade sang me subah suhani...

Satrangi rasto pe chalke,

Godhuli ki ret me lipti, 
Taro ki doli me dekho,
Meet milan ki sandhya aai...

Dastak kon ye de raha hai,

Hai sayo me mere kiski parchai,
Kyu khudko bandhe bedo me,
Kyu h,kasi h ye chardeevari..

Ud jane de man ke panchi ko,

Khud se khud ki kaisi rusvai,
Bekhak badi h khubsurat duniya,
Koi surat bas h tere liye banai..