Friday 27 July 2012

muddat ho gai sawan aaye


muddat ho gai sawan aaye,
bhigi palke,
bin neer bahaye...




meethi meethi tees uthi,
dard hua,
bin aasu aaye...


thi rat andheri ek juganu aaya,
hata andhera,
bin deep jalaye...


saja diya ghar aangan sara,
sab suna,
bin davar sajaye...


aahat sunke jag gaye main,
aakh khuli,
bin aakh lagaye...


chal bagiya me pani de de,
phool gire,
bin patjhad aaye

ji rahi hu main...


boond boond,
dhalti palkose,
 bhigi, 
 aakhe moonde,
barish me,
aashuo ko chupane ki,
koshish,
kar rahi hu main...
ji rahi hu main...


gam or khushi,
bemane se,
aab hai,
koi bhi ahsas nhi hai,
fir bhi,
bevajah hasne ki,
koshish,
kar rahi hu main...
ji rahi hu main...


jaha me naya,
nahi hai,
ye sab,
har dil pe jakham,
hai har aakho me,
kuch ankahe se gam,
soch ke ye,
apne dard ko pine ki,
koshish,
kar rahi hu main...
ji rahi hu main...


tere saye se,
 nikal kar, 
akele naye safar par 
nai rahe chun,
sambhal kar,
chalne ki,
koshish,
kar rahi hu main...
ji rahi hu main...


thahari si jami hai,
thama sa aasma,
havaye nhi hai,
berang hai sama,
tere rang the jo yaha,
mita ke unhe,
fir se unme,
apne rang bharne ki,
koshish,
kar rahi hu main...
ji rahi hu main...

प्रेम उपासना



हर्दये के तारो को,
एक दूजे पे पिरोती,
परिणय की छवि,
आपकी आराधीनता स्वीकार  है।


आज भी स्वाधीनता  को त्याग कर ,
प्रेम उपासना जीवन भर करने को तैयार है ।


अस्तित्व में अस्तित्व को,
सयुक्त करो या नकार  दो ,
प्रेम में आपका सब अधिकार है।


हर दिशा में हर नजर में,
सभी भाषाओ में लिखा,
पर परिभाषा से मुक्त 
प्रेम तो हर कही विद्यमान है ।



आज भी स्वाधीनता  को त्याग कर ,
प्रेम उपासना जीवन भर करने को तैयार है ।

A woman.

मटमली  सी,
चादर में,
लिपटी,
एक औरत.
तर तर,
कपड़ो में,
सिमटी,
एक औरत.
पत्थर पे, सड़को  पे,
नंगे पाव ,
चलती एक औरत.
भावहीन,
बड़ी बड़ी आँखे,
बेजान सी नजरो से,
बहुत कुछ, 
कहती,
एक औरत.
ठिठुरती,
जनवरी की,
ठण्ड में,
आग के लिए,
आग सी जलती,
एक औरत.
जीने के लिए,
जीवन के लिए नही,
समाज की खातिर,
पग पग जुल्म,
सहती,
एक औरत.
टूटती, बिखरती,
और फिर,
सीमेटति  हुई खुद को,
हसती ,
एक औरत.
 



kanoon hi nhi, dil bhi yaha to, mangta saboot tha


Duniya se kya kahu main sach,
Jab sunne vala koi nhi..
Jo diya, sar aakho pe,
Mujhe to har gunah kabool tha....


Ek din to sab chup se bithe,
Do din me sab bhul gaye..
Tize din li mana diwali,
Yahi duniya ka dastoor tha..


Main na mana unki marzi,
Unki rahe chod chala..
Karta gaya jo dil ne bola,
Bas chalna mera janoon tha.. 


Jinda rakh kar,maar diya,
Ye haal kiya is duniya ne..
Pyar jagaya,khushiya bati,
Mera bas yahi kasoor tha.. 


Sath sath jo sath nibhaya,
Sath kabhi sab khele the..
Din bite or ban gai yade,
Kahi inka bhi koi vajood tha..


Ye bhuli bisri dastane,
Bhool gaye sab log yaha..
Kisi jamane me ye kissa bhi,
Yaro bada mashahoor tha..


Aapni begunahi,
Sabhit karta bhi to kse..
Kanoon hi nhi, dil bhi yaha to,
Mangta saboot tha..


Tuta shisha,
Bikhre tukade,
Har tukade me,
Aashk mera jaroor tha...

MUJHE UD JANE DE




Kya Karugi Ab Main Ji Kar,
Mujhe Tu Mar Jane De...
Ya De De Mujhe Pankh Tu,
Or Mujhe Kahi Ud Jane De...

Kho Gai Jab Manjil Meri,
Kho Gai Sab Rahe,
Kho Gya Jab Saya Mera,
Mujhko Bhi Kho Jane De..
Ya De De Mujhe Pankh Tu,
Or Mujhe Kahi Ud Jane De...

Jal Raha Hai Sab Kuch Mera,
Or Baras Rahi Hai Barish,
Jal Rahe Is Savan Me,
Mujhko Bhi Jal Jane De...
Ya De De Mujhe Pankh Tu,
Or Mujhe Kahi Ud Jane De..

Jag Rahi Hu Kabse Main,
Kabse Na Soi Hai Meri Aakhe,
Rakh Hath Aapna Meri Palko Par,
 Or Mujhko Tu So Jane De...
Bas ..
 Ab Aa Rahi Hai Nind Mujhe....
Mujhko Tu So Jane De....
Ha Mujhko Tu So Jane De ...
So Jane De...
 Jane De.....

dil fir vahi tarane, dohrata h , gata h firvahi dhun...


yado ke gulshan se
lata h har roj
kuch or bikhare huye,
 khar ko chun...


sapno ki galiyo se ,
jab bhi gujarta hai,
dil fir vahi tarane,
dohrata h ,
gata h  firvahi dhun...


hajaro bar tut gaye,
fir bhi sanjota h unko,
dekhta h sapane, 
fir naye bun....


koi nhi mera,
sab dur hai
tu to dil me hai,
bas tu h,
tu to sun.....

KHUSHBU NA KOI BAHATI HAI


Mahafilo ke bich me,main akela tha kabhi,
Ab to mere sath, ek tanhai jhoomti hai...
Ja rahi hai ye kahi,anjan se ek shahar tak,
Cal raha hu barso se,par manjil na koi milti hai...
Gumsum sa hai sama yaha ka,khamosh sadaye rahati hai,
Is virane me kabhi kabhi,ek parchai ghumti hai...
Barbad kiya jab khud hi gulshan,baharo se sikva kya karna,
Vo aati thi or aayegi,par khushbu na koi bahati hai....

Hoslo ki udan hai


viraan hai aaj fir,
ye mahfile, 
or bheed hai,
har kahi jahan me.....

kar raha hai,
shor koi rat me,
or savera aaya,
kse chupchap hai......


dikh rahi hai nai,
shuruaat ki aas har kahi,
bas aant hi basa huaa,
hai is nigah me.....

kya huaa jo kaid hu main,
aapne hi sansar me,
 dil to mera yaro,
aaj bhi aajad hai....

jal utha hai aasma,
aaj ye manjar dekh kar,
or chav bhi to,
aaj dekho dhup ke saman hai....

mit gya main,
mit gai hasti meri,
par aaj bhi logo ko,
geet mere kuch yad hai....

choo gya uchaiya ,
jo na pa saka aakash to,
jeet or har ab kuch nhi,
ye to hoslo ki udan hai....

tujhse to dosti hi nibhai na gai.


Jo preet nibhai na gai..
Jo bate bhulai na gai..

sath chale the jis rah pe,
vo manjil pai na gai...

dil dooba tha tere pyar me,
or ye bat hoto tak lai na gai...

jeet lete the jaha kabhi ham,
bas ek kismat hi hamse harai na gai...

sab bataya tumhe kya hal h hamara,
ye hi bat bas hamse batai na gai...

chahte the sath tumhara har mod pe,
or ye chah hi hamse jatai na gai..

tum jate rahe dur or ham dekhte rahe,
rokte kise,tujhse to dosti hi nibhai na gai..

SAJA MIL RAHI HAI DILKO KABSE...


SAHAR KA INTJAR KARTE RAHE,
DEKHA TO YAHA PE RAT THI KABSE...


DHOONTE RAHE KOI NISHA MILE TUMHARA,
PAR TUJHSE DOORI,DOOR THI KABSE..


HAMNE CHAHA THA DO KADAM SATH CHALEGE,
PATA HI NA CHALA RAHE BADAL GAI KABSE...


MANGKE TO AAPNE LIYE KABHI KHUSHI BHI NA LI ,
BAS TERE LIYE  HI TO LABO PE FARIYAD THI KABSE...


JAMEER SOYA HUAA THA,
LAHU ME AAG THI KABSE......


IJJAT BAKI NHI YAHA PE,
JUBAA KHAMOSH THI KABSE...


KYU NA SHAMAJH PAYA TU MUJHKO,
 MERI HAR SAAS TERE NAM THI KABSE....


MERA KASOOR TO BATA TA JAA,JO TU JA RAHA HAI...
YE NA KAHANA MERE GUNAHO PE TERI NIGAH THI KABSE...


MERI VAFAO KO JANKE BHI ANJAAN BANA HAI TU,
OR PUCHTA HAI MERE DIL ME TERI CHAH THI KABSE....


TUJHE DEKHNE KA KASOOR NAJARO NE KAR DALA,
SAZA MIL RAHI HAI DIL KO KABSE...

bhule tum sab,par main to nhi...




Aaine me jo shakhsh khada h,
lagta h vo main to nhi...


mera tha vo khoya piche,
mujhme hai vo main to nhi...


aakho me basna kya basna,
dilme tere main to nhi..


khushiyo me shamil hu to kya,
tere gam me shamil main to nhi..


sach kahate ho mujhe bhulake,
bhul tum sab par main to nhi...

ksa badal barsa h ye





ksa badal barsa h ye ek boond bhi hath na aai,
harpal koshish karke bhi m tumhe bhula na pai..


ghumad ghumad ke aaya sawan aaya or vapas chala gya,
rah gai bas geeli mitti or vo chap jo tumne banai...


chod chala yu tanha mujhko achi preet nibhai,
tujhse achi teri yade sang rahati ban parchai...




tukado tukado me bikhra jo sapna mne dekha tha,
tod diya jo shisha hamne chot hath me aai...


bin mere tu khush h,to fir m tujhse dur sahi,
sang tere bhi tanha thi,bin tere bhi mili tanhai...


kora kagaj leke baithi,likhne lagi nai kahani,
shuru kiya tha bas likhna mne ,fail gai par shahai........

ek yugank..beet gya...




ek yugank,
beet gya....
ek sadi,
hui parai...
kitne sach or kitne aashu
bhar khud me leli vidai..
dub gai ek sandhya syamal..
sahar nai ek aai..
beeta din or huaa andera..
fir ek lo timtimai...
ghar ke bhitar soya bachpan..
bhule nani ki kahani...
ek bacha ab bda ho gya,
khoi ek bholi shaitani....
sagar me tufan utha ek,
laharo ne li ek angadai...
dur kahi ek musafir ne
fir aapni pyas bhujai...
mitti ne laharaya aachal,
boodo se bhigi mai sharmai..
ek ma ne di duaa dilse,
vo hi sabse badi khudai...
ram mila masjid me mujhko,
mandir me diya khuda dikhai..
sab bandhan h nam ke bandhan,
bas un sab ka pyar hi h sachaiiii......

GAR JAAN SAKE TO JAAN










FAILA PANKH AAPNE,
UD JARA,
GAGAN YE DOOR DOOR FAILA..
PAT KHOL ,
TU MILNE DE,
MEET SANG,
MATVALE NAINA...


YE SANGEET,
TERE HI GEET ,
MERE MAN ME,
MERE MANMEET,
AB UNKO SUN LE NA..


HAR BAR ,TERI HI BAT,
MERE DIL ME,
MERE SARTAJ
CHIPA H PYAR,
TERA HI NAM,
KUCH TO KAH DE NA..


GAR JAAN SAKE TO JAAN,
JAAN AB H TUJH PAR KURBAN,
SAB LOG GAYE JAB JAAN,
TO SABSE PARDA KSA JAAN,
JO KAH DI MNE AAJ,
BAT VO SACH H NA...???

A KHUDA












a khuda jo manjar kayamat ka aane ko h,
ab tu bta ,
is mod ke us par kya h...
manjil h ya dagar koi nai mili h,
shuru huaa h safar ya rahe khatam huiii h...

vo sath h mere magar kuch is tarah se.,
usko hi iski koi khabar nhi h....

ek roj jo sapna dekha tha
or jo roj dekhti aai hu..,
ho raha h sach,
ya rate or bachi h......

door door tak viran hi virah h,
kahi bhi na uska koi nishan h,
sab h magar fir bhi koi kami rahi h,
ret udti h magar mujh me milti nhi h...

kho gai hu m kahi ,
vo bhi gum kahi h...
h nhi mera magar,
mujhme kahi h..

jo tujh tak pahuche use chodkar, rahe mujhe tamam mili..



kabhi dhoop mili,
kabhi chav mili....



ham chalte gaye,
par na koi panah mili....


kabhi ruke bhi ham kahi thahare bhi,
manjil ki na koi aas mili.....


tumhe kho kar kya khoya h mne,
mujhe to yado ki sougat mili....


khatao se kya darna ab,
kitni hi khataye mujhe inam mili.....


m khush hu ha m khush hu to kya,
jagti rate bhi mujhe hi yar mili....


ab beet gai use jane do,
mujhe to kismat hi dusvar mili.....


jo tujh tak pahuche use chodkar,
rahe mujhe tamam mili..

I MISS THOSE DAYS



I MISS THOSE DAYS WHEN I WERE YOUR FRIEND..........


AND YOUR HAND WAS IN MY HAND...............


I MISS OUR TALKS,OUR SIMMILAR THOUGHTS......


I MISS OUR FRIENDSHIP A LOT.......
I MISS OUR HAPPINESS.......


I MISS OUR TOGETHERNESS,........




I MISS THAT SADNESS WHICH MADE U WEAK.....




AND OUR CLOSENESS WAS ON  THE PEAK.....


I MISS THOSE NIGHTS WHEN U SHARED YOUR FEELINGS WITH ME AND MADE THEM MINE....................


AND MY SMILE WAS YOUR SHINE........


AND WHEN U FEEL MY FEELINGS,.....


AND WANT TO SWIM,......


I MISS THAT MADNESS,WHEN U WANT ME 2BE IN. ......


I MISS THAT RELT'N WHEN U KNW ME IN DEEP......


AND I MISS THAT TRUST....


AND ALL THE SECRETS,...


WHICH WE USED2 KEEP.....


I MISS THAT IMAGINATION.....


WHEN U WERE IMAGINE WITH ME,.....


I MISS THAT LOCK,WHICH WAS ON MY HEART,N U HAVE THE KEY.....


I MISS U .............


I MISS YOU........


I MISS YOU COZ I NEED......

TU PAS NHI TERI TALASH NHI



Tu nhi ...........


Tera sath nhi...........


Tu hoga kabhi.................


Iskikoi aas nhi......................


Tu pas nhi .....................................


Teri talash nhi....................................


Ji rahi hu yu................................................


Jse jinda hu par  ahsas nhi.........................................