Friday, 27 July 2012

kanoon hi nhi, dil bhi yaha to, mangta saboot tha


Duniya se kya kahu main sach,
Jab sunne vala koi nhi..
Jo diya, sar aakho pe,
Mujhe to har gunah kabool tha....


Ek din to sab chup se bithe,
Do din me sab bhul gaye..
Tize din li mana diwali,
Yahi duniya ka dastoor tha..


Main na mana unki marzi,
Unki rahe chod chala..
Karta gaya jo dil ne bola,
Bas chalna mera janoon tha.. 


Jinda rakh kar,maar diya,
Ye haal kiya is duniya ne..
Pyar jagaya,khushiya bati,
Mera bas yahi kasoor tha.. 


Sath sath jo sath nibhaya,
Sath kabhi sab khele the..
Din bite or ban gai yade,
Kahi inka bhi koi vajood tha..


Ye bhuli bisri dastane,
Bhool gaye sab log yaha..
Kisi jamane me ye kissa bhi,
Yaro bada mashahoor tha..


Aapni begunahi,
Sabhit karta bhi to kse..
Kanoon hi nhi, dil bhi yaha to,
Mangta saboot tha..


Tuta shisha,
Bikhre tukade,
Har tukade me,
Aashk mera jaroor tha...

No comments:

Post a Comment