Monday, 3 March 2014

Graphics of Life

Life kya kisi derivation se kam hai,
connect hai,har equation dusari se,
Or ham banane chale h ise convexhull !!


Koshish me ki sbko boundry se join karle,
Ham khud side me hat rahe h.
unnecessary points ko b include kr,
Complications ki overdose le rahe h !!
Or fir,
Jaise taise ek control graph bnate chale jate h,
points pe chalte huye,
sequence me apna rasta bnate huye,
ham origin hi bhul jate h.

scaling me incorrect hoye to,
sb apne ap rotate hone lagta h,
or transform ho jata h,
kisi unwanted si equation me,
Or sochte baithte h ham,
Ye to tha hi ni syllabus me.

Brush pakad ke hath me,
Khudko samajh Picasso,
lag jate h lyf ki circle me krne colorfill,
Ekdm agyat is bat se ki,
ek pixel.
Chota sa pixel,
hota h important kitna.
Sab ho jayega ulat pulat jo,
Ye idhar se udhar hua.

Vse hi lyf ka pixel,
ho jaye agar galat,
line ki direction hi,
Fir to change ekdm.
Or janab,
jab circle me color fel jata h,
to circle najar nahi ata h.
ase hi,
ham bhed me kho jate h,
kbhi kbhi lyf ka pixel,
screen ke bahar chala jata h,
or ham points adjust karne me lag jate h,
or limit zero pe aake ruk jati h,
or lyf undefined hi rah jati h,
kabhi kabhi,
derivation,
lyf ki book se bahar hoti h,
har step ke sath,
alag unexpected sa,
next step apne ap ban jata h,
bina kisi rule ke,
or Defination Of Life,
samajh aa jati h,
bina Explain kiye...

No comments:

Post a Comment