Friday, 14 December 2012


1. Hai adhuri si khushi 
uljhi hui si bat h
khamosh si is rat me
ek gam ki bas talash h...


Aaine me dekha mne

mera chahra thoda udas h
ras kuch aaya nhi
koi bacha nhi ahsas h

Beshak tu mera tha kabhi

par kabhi hua nhi bisal h
tujhe chu ke kaise dekhta
tere libas pe libas h...

2 Sike labo ko sath h mere,

ankahe sare ahsas h tere,
dur hota to chain hota
ab 
pas hokee bhi kya pas h mere... 



3. shabdo me pirokar har ahsas likh deti main,

   par kuch khamoshiya jayada kah jati hai,
   
   paigam tum tak le jati hai hawaye mera,
   suno to na jane ye kya kya kah jati hai,

   kyu barbadiyo ka jikar karte ho barbar,

   kuch barbadiya hi aabadiyo ko jameen de jati hai....



4. bisale yar bhi hua,unko hamse payar bhi hua,

tabah karke aisa mujhe,tufan fir sharamshar bhi hua...

aashik mera,mera kasurvar bhi huaa,

katil mera mujhpe meharban bhi hua,
do din ki jindagi gujari thi or,
mout ka ikrar bhi huaa..


5.ajeeb itefak h 

na tu yaha h na tera koi ahsas h
bewajah  m jaga karta hu rato ko
mujhe tu kaha ab khas h



mera tha jo vo or kahi hoga 

anjan mujhse kisi me khoya hoga
nai raho pe chalte,manjil ko dundti,
meri najaro ko uski ab talas h
mujhe tu kaha ab khas h.....

5. gujra hu main hardam begani si raho se,

jo aashna sa hoke,anjano sa banati rahi nigaho se ...

6. is dar se ke tera nam,koi or na le,

main khamosh hu kabse,

 munde aakhe is dar se,

meri aakho me tasveer teri,
koi pahchan na le,

tera mera payar hai koi jan na le,

tujhe rakhti hu chupake dil me ase,
kahi koi tujhe talash na le...



7.chalo ab laut chale,

apne chitij ki or,
der se hi sahi,
kuch kadam to badhaye,
apne kal ki or,
apni ruh ko dhundane chale,
ek bar khud se milne ki koshish kare,
chalo ab laut chale...