Monday 3 March 2014

geet

Bhola sa chanda ye,
nile ambar se utar ke,
gulabi si sadko pe,
edhar udhar,yaha vaha,
dheme kadmo se,
bin puche,
retile rasto pe,
chalta jaye, jane kyu...

Hai sapne mere b, udte h
panchi se,
or unme se koi ek
kbhi dar ke kbhi chip ke
udan bharta h
girta h sambhalta h,
Chupkese aajkal,
fir udta h teri or,jane kyu...!!

Mujhse hi anjan main,
oro ko pahchanti,
khudko sacho me dhalti,
koi or m bani firu,
pahchanu m,m janu khudko bhi,
Kabhi kyu,
vo hosla mujhe mila nahi,
jane kyu...!!

Thandi si hawaye,
chuti h chahre ko,
or badal sa ye dil...!!

chahu m kbhi,
m garju, m barsu,
kisi sahra pe ji bharke,
sahil pe dhundu,
do bund m tap tap ke,
jal jau, mit jau,kho jau,
is aasman me tere sang m...!!

Anjan kashmakash me uljhi,
Kidhar jau,
Khatam rahe sabhi,
Is samandar me.

Deep si jalti,
Door kahi mandir me..
Jagmagati si lo,
Niharti rah teri,
mira si pawan Preet liye.
Dhunti tujhe har dar pe.. !!


Kabhi lagu m dhun nai,
lagu m kbhi purana sangeet,
Kabhi hasati kabhi rulati,
Ban shayari virah ki,
kabhi milan ke ban geet..!!

udhar ke thode shabdo me,
apne shabdo ko milati,
m naye geet bnati hu aajkal.!!

Meri duniya meri apni
m hu or mere geet,
chali jau,
kbhi kuch kah pau,
Kabhi kuch sun pau,
Kabhi kuch m ji pau,
sochu ek ghar bnau,
dur us chanda pe,
jaha rahu m or mere geet...!!

No comments:

Post a Comment