Monday 28 January 2013

payar ke rang


Khamoshi bekherti is bistar ki silvate,
Udas si aakho ke,
Aashuo ki barish me,
Bheegi hui shayad,
Teri yado ke ahsas ko or gahra rahi hai...

Tere jane ki vajah,
Talashti jindagi,
Jakhmo se bhare jism ko,
Hasi ke libas se dhakati hui,
Jalti hui rate shayad,
Tere gunaho ko or bada bana rahi hai..
Sukun ke do pal,
Mere sar ko sahlate tere hath,
Meri ruh par teri chap,
Taja h bilkul,
Hawa ki taseer jaise,
Or hawa saso ki gahrai me utarte huye,
Tujhe or pas la rahi hai...||

2.vo agar aaj mera hota,
To na tu yaha hota na ye sama hota...

3.ek pal bhi kata nhi,
Or rat sari nikal gai..

4.vo mile is trah se ki milna kuch khas ho gaya,
Vo dekhte rahe or hamko unse payar ho gaya...

5.vo bas ye aarju h dil ki,Tu kahi se aaja,
Or mujhme ase sama ki,
Payar me mere tujhko do jahan mil jaye..
Meri panaho me teri ,
Subah or sham gujare,
Teri rah m banu,
Teri manjil bhi,
Or us manjil tak pahuchne ke liye,
Un raho par,
Tere hatho me hath dale jo tere sath ho,
Vo bhi m hi hu...
Bas ye aarju h dil ki....
Teri khushiya meri ho,
Tere gam bhi mere,
Tera har sapna ham sath dekhe,
Tera har raj mera ho,
Dil ki aarju h bas,
Tera sath ho,
Tera payar ho,
Teri nigaho se dekhu m jaha,
Meri aawaj teri pahchan ho,
Mera payar tujhme bsa ho,
Mere nam me tera nam ho,
Jannat hoga har lamha,
Bas mere hatho me tera hath ho,
Tu ho mera,
Or kya chahiye..
Bas itna kafi h ,
Ek jindagi jine ke liye...

5.barkha bahar aai,
Rimjhim fuhar lai,
Sab aa gaye sakhi,
Sajan na aaye...
Do pal bhi chain nhi,
Bitegi ye rain nahi,
Soye mere nain nhi,
Rasta nihare..
sab aa gaye....
Samjha ke hari m,
Samjha na sathi re,
Payar pe mere vo,
nai duniya basaye..

6.Bisal a yar bhi hua,
unko hamse payar bhi hua..
tabah krke asa mujhe,
tufan fir sharamsar bhi hua..

7.kuch sapne mne bhi dekhe the ,
Par kuch m bhul gai,
Kuch tut gaye...

8.rah gai har bat ankahi,
Or jo kaha,
Vo ansuna sa rah gaya...

9.kuch bate meri yad rakhna,
Bhulo bhi agar to koi bat nhi ,
M thik hu bas,Apna khayal rakhna...

10. Khokar is kadar,
Ki gum jaye mera nisha,
Aa kabhi aa,
Sang kuch lamhe tu gujar,
Mahki fijaye na mile,
Na mile gar mera pata,
Dhundna mujhko fir,
Tere dil me h ghar mera,
Bahki si ye hawa,
Bah gai m kaha,
Tu hai sahil mera,
Or mera aashiya,
Aa kabhi aa,
Dil ki bate kabhi,
Mujhse kah tu jara Bhig jane de khudko,
Dooble fir ek bar,
Payar h ye haseen,
Mujhse dil to laga,
Surate ye sabhi,
H sabhi apsara,
Seerate bhi sabhi,
Bholi h sab yaha,
Bhulna na mujhe,
Main hu inse juda,
Aa kabhi aa,
Kabhi ruh me sama,
Pahchan mujhko yu,
Kudko hi bhul ja,
Bhulke khudko fir,
Sab mujhe bhi bhula,
Fir chale ek rah,
Hath me leke hath,
Na khabar ho koi,
Sang rahe ham sada,
Aa kabhi aa,
Chal do kadam mere sath,
Kuch bate meri sun,
Kuch mujhe bhi suna,
Aa kabhi aa,
Payar ko fir badha...<3 data-blogger-escaped-br="">

No comments:

Post a Comment