Sawalo or jawabo me,
Ulajh ke kaha ja rahe ho,
Aao kuch pal bhul ke sab,
Pyar ki do bate na sahi,
Ek dusare ka hal hi puch le...
Kyu fer lete h muh,
Do dost,
Do pakke dost,
Jab pata h ki ek hi hakikat h,
Vo h mot.
To kyu har pal,
Naye tarike,
Ijad kre,
Jab pata h,
Ek hi sach h vo h,
Pyar ka dosti ka...
Kyu bhool jate hai ham,
Ye sab h hi nhi,
Jaha shuru hua,
Vahi pe khatam hai,
or aakhir me rah jayegi kuch yade,
Kuch shant jvalaye,
Jo jalti rahegi andar se,
Or ye jism jalta rahega,
Or ek din mit jayega..
Ya,
Ek din ye jvalaye fat jayegi,
Or tabah kr degi sab,
Bas ek chingari se...
To ham kyu asi jvalaye pale,
Jo hamari tabahi laye...
Kyu nhi ham bas payar kre,
Khush rahe,
Sab sahe par khushi se,
Sabko sath leke ek asa jahan banaye
Jaha sab khush ho ya na ho,
Par sab santusht rahe,
Apne jivan se apne ap se...
Or sab sach na bhi kahe to bhi,
Dhokhe or fareb ki koi jagah na ho...
Ek asa samaj ho,
Jaha kanoon ho par,
kisi ke khoon se na ranga ho
Niyam ho par insaniyat ke,
Sabki sammti se ho,
Na ki kisi ek do sammanit sakhshiyato ke,
Vicharo ko sab pe thopa gaya ho..
Ek asa samaj ho jaha m hak se kah saku,
Main ek abodh balak ke jaise,
Jina chahti hu,
Mujhe bado jaisa nhi banna,
Mujhe duniyadari nhi sikhni,
Jise m chahti hu vo mujhse payar kre,
Sab mere dost ho,
Sab sachche ho,
Sab khush ho,
Par ye mumkin nhi,
M janti hu...
Ye meri kalpna h jo inn panno tak hai...
Sach ke dhratal pe jivant nhi ho sakti...
Par kabhi to kuch badlega,
Jab m ye soch sakti hu to kahi to koi or bhi,
Asa sochta hoga...